SEO kya hai? full guide for beginner's in hindi

SEO yani Search Engines Optimization is ke bare sabhi blogger ko pata hai, lekin ye kya hai or kitne jaruri hai blog ke liye ye new blogger ko pata nehi hai, 2016 saal is time par bahut sare blog/web site har samay ban rahe hai is liye apna site ko google ki pehle page par aana bahut jada  kathin ho gaye hai, or google bhi kuch policy change bhi kiya hai, is liye ham sab ko har time seo ke bare me sochna chahiye, yes doston aaj main kuch seo ke bare me jaan kari dene wale hu aap new blogger hai to sayed aap ko kyi kaam aaye, to chale kuch seo ke bare me jane.

SEO, Guide for beginner's,

SEO Kya Hai

doston main seo expert nehi hu lekin jo main samajte hai wo apke saat share kar rahe hai, seo ki matlab kya hai uske ek udharan dete hai simple tarike se, ap maan lo ek dukan open karna chate hai to pehale ap ko kye karna chahiye ek achhi market dhudna hogi jaha par par day bahut sare logn aate jate hai, uske baad ek achhi position par dukan lene hogi, uske baad achhi tarike se us dukan ko decoration karne hogi,uske baad government ki office se ek trade Licence lene hogi, uske ke baad dukan me achhi quality ki saman rakhne hogi, fir ek achhi samay dekhe opening karne hogi, aur last me aap ko marketing karne hogi, matlab jada se jada  logn ke paas jankari dene hogi aap ki dukan ke bare me, aur dukan me kya kya saman hai uske bare me.


doston ab aap samj lo ye dukan apna blog hai aur achhi market ki matalab internet par jada logn jiske bare me jada search karte hai, achhi position ki matlab hai ap kon platform me bolg banana chate hai, Blogspot, Wordpress,Jamula, ye ap ki pasand ki baat hai, decoration ki matlab hai bolg/website ko design kar na,trade Lincence ki ki matlab apna site ko Google- bing aur bhi jo search engines hai uha par submit karna, kaise submit karte hai janne ke liye ye post click here dekh sakte ho, is topic par bahut sare post hai is liye ham ye post nehi dale ye site par, achhi saman ki matlab hai achhi achhi article yani ap jo post likhte hai wo, ab apko last me marketing karna hai, ye thora kathin kaam hai lekin kosis karte rahe to ho jeyegi, online marketing ka matlab social site par share karna, back link karna, guest post karna, forum post karna, apna dosto ke saat share karna, ye sab hai.
SEO,Guide for beginner;s,

SEO kitne praker ki hai

SEO 2 praker ki hote hai ek on page SEO aur dusre off page SEO, apna dukan matlab apne blog ki aander me jo kaam hote hai wo on page seo hai, aur jo bahar kaam hai jaise social site me share karna, guest post karna, forum post karne, back link karna ye sab off page seo hai.

 Gif Animation kaise bane jane

Success hone ki kuch tips

KeyWord kya hai aur kaise pata kare

 key word ki matlab hai ap ki dukan yani blog me jo saman hai wo saman kya kya chaig se bante hai  wo hai key word ,on page seo ke liye key word  main point hote hai, aap achhi keyword chune apna blog post ke liye to  apna blog ke liye bahut faide hai, sayed ap sab keyword ke bare me pehle suna bhi hoga, is liye ham just 2 jankari denge, ek to ap google keyword planer ke bare me jante ho or abhi tak jankari nehi hai to ap ye site click here se apna Gmail se sing in karke apna blog post ke liye key word select kar sakte ho. dusre tarike hai pehle ap is click here site par jaye or search box me jo bhi chahe key word select kare or fir search kare, ab ap dekhe apke samne bahut sare key word se jude key word ki title aa jayegi jo google me search karke sab logn aate hai, ab ap apna blog ki post ke liye ek achhi title pasand kare or apna blog me is title se jude post ko publish kare.


Post ki Last bate

doston aaj ki time par jitne ho sake bade post likhe 1500 se 2000 word me, kiu ki small article ko google jada value nehi dete hai, is liye ap jada word me likhe to ap ke liye faide hai, or ek do image bhi rakhe har post me or ALT Tag jurur de image par, ap sayed ye sab jante hai fir bhi ham bataye jo new blogger hai uska kaam aayegi.

Blogger vs WordPress kon sahi hab blogging karne ke liye

Blog ke liye contact us page kaise bane



doston upar jo jankari di hai ye sab hi seo ki hissa hai,ye jankari aapke pasand aaye to apna dosto ko bhi share kare kiu ki uske bhi kuch help mil jaye, to doston ab ham chalte hai jaldi hi aur ek neye post lekar aap ke paas aayege.
--


EmoticonEmoticon